اردو हिंदी
Abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya | Shaahi Shayari
abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya

Ghazal

Abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya

Zaheer Dehlvi

;

abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya
meri taqdir ban ban kar badalti hai zaban kya-kya

mujhe gardish mein rakhti hai nigah-e-dil-sitan kya-kya
meri qismat dikhati hai mujhe nairangiyan kya-kya

nigahon mein haya hai aur haya mein hai nihan kya-kya
tabiat mein basi hain KHair se ranginiyan kya-kya

faqat ek sadgi par shoKHiyon ke hain guman kya-kya
ada-e-KHamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya-kya

dil-e-KHun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-KHizan kya-kya

nigahen bad-gumani se kahan ja-ja ke laDti hain
meri aankhon mein hain dushman ki bazm-araiyan kya-kya

tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain
hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya-kya

abhi se ban gai mushkil abhi to dur hai manzil
mujhe ruswa karengi dekhiye betabiyan kya-kya

wo jitne dur khinchte hain talluq aur baDhta hai
nazar se wo jo pinhan hain to dil mein hain ayan kya-kya