اردو हिंदी
Abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain | Shaahi Shayari
abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain

Ghazal

Abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain

Naushad Ali

;

abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain
abhi zindagi ke bahane bahut hain

ye duniya haqiqat ki qail nahin hai
fasane sunao fasane bahut hain

tere dar ke bahar bhi duniya paDi hai
kahin ja rahenge Thikane bahut hain

mera ek nasheman jala bhi to kya hai
chaman mein abhi aashiyane bahut hain

nae git paida hue hain unhin se
jo pur-soz naghme purane bahut hain

dar-e-ghair par bhik mango na fan ki
jab apne hi ghar mein KHazane bahut hain

hain din bad-mazaqi ke 'naushad' lekin
abhi tere fan ke diwane bahut hain