abhi ruswaiyon ka ek baDa bazar aaega
phir is ke baad hi wo kucha-e-dildar aaega
watan ki ek taswir KHayali sab banate hain
KHabar lekin nahin kya is mein ku-e-yar aaega
gul-e-shaKH-e-mohabbat par lahu ka rang khilta hai
ki ab rang-e-hina zikr-e-lab-o-ruKHsar aaega
hamare waste bhi saat-e-hamwar Thahregi
ki rah-e-shauq mein jis dam wo na-hamwar aaega
abhi aab-o-hawa-e-jism ke asrar khulte hain
abhi wo toDne is jism ki diwar aaega
karo ahl-e-junun kuchh to karo saman-e-dildari
ki shahr-e-ishq mein wo shoKH pahli bar aaega
Ghazal
Abhi ruswaiyon ka ek baDa bazar aaega
Mahtab Haider Naqvi