abhi nazar mein Thahar dhyan se utar ke na ja
is ek aan mein sab kuchh tabah kar ke na ja
mujhe hijab nahin bosa-e-judai se
magar labon ke piyale mein pyas bhar ke na ja
mere KHayal mein tera koi jawaz nahin
KHuda ki tarah meri zat mein bikhar ke na ja
sambhaal apni nigahon mein wapsi ke sawal
mere jawab ke pindar se guzar ke na ja
har ek rasta diwar ban ke hail hai
na ja ki dasht nae silsile hain ghar ke na ja
Ghazal
Abhi nazar mein Thahar dhyan se utar ke na ja
Saqi Faruqi