abhi nahin ki abhi mahz istiara bana
tu yar dast-e-haqiqat mujhe dobara bana
ki bah na jaun main dariya ki rasm-e-ijra mein
qayam de meri miTTi mujhe kinara bana
hum apna aks to chhoD aae the par us ke baad
KHabar nahin ki un aankhon mein kya hamara bana
mujhe jo banna hai ban jaunga KHud apne aap
banane wale mujhe KHub para-para bana
hujum-e-shahr ki jis ki mulazmat mein hun main
mere liye meri tanhai ka idara bana
isi liye to munafea mein hai hawas ka kaam
ki ishq mere liye bais-e-KHasara bana
shikariyon ko khula chhoD dasht-e-mani mein
tu apne lafz ko 'ehsas' mahz ishaara bana
Ghazal
Abhi nahin ki abhi mahz istiara bana
Farhat Ehsas