اردو हिंदी
Abhi na jao abhi raste saje bhi nahin | Shaahi Shayari
abhi na jao abhi raste saje bhi nahin

Ghazal

Abhi na jao abhi raste saje bhi nahin

Haneef Asadi

;

abhi na jao abhi raste saje bhi nahin
abhi charagh sar-e-kahkashan jale bhi nahin

jabin-e-charKH pe gulguna-e-shafaq mal kar
abhi to sham ke sae kahin gae bhi nahin

abhi abhi to jamai hai main ne bazm-e-KHayal
abhi ufuq-ba-ufuq baam-o-dar saje bhi nahin

urus-e-shab ne abhi chandni utari hai
abhi to gesu-e-shab Thik se khule bhi nahin

abhi se tark-e-talluq ke mashware to na do
abhi to yaadon ke sare diye bujhe bhi nahin

mere safar mein sitare the bas sharik-e-safar
ye rah-rau to meri rah-guzar ke the bhi nahin