abhi kisi ke na mere kahe se guzrega
wo KHud hi ek din is daere se guzrega
bhari rahe abhi aankhon mein us ke nam ki nind
wo KHwab hai to yunhi dekhne se guzrega
jo apne aap guzarta hai kucha-e-dil se
mujhe guman tha mere mashware se guzrega
qarib aane ki tamhid ek ye bhi rahi
wo pahle pahle zara fasle se guzrega
qusur-war nahin phir bhi chhupta phirta hun
wo mera chor hai aur samne se guzrega
chhupi ho shayad isi mein salamti dil ki
ye rafta rafta agar TuTne se guzrega
hamari sada-dili thi jo hum samajhte rahe
ki aks hai to isi aaine se guzrega
samajh hamein bhi hai itni ki us ka ahd-e-sitam
guzarna hai to ab hausle se guzrega
gali gali mere zarre bikhar gae the 'zafar'
KHabar na thi ki wo kis raste se guzrega
Ghazal
Abhi kisi ke na mere kahe se guzrega
Zafar Iqbal