abhi jo gardish-e-ayyam se mila hun main
samajh rahi thi kisi kaam se mila hun main
shikast-e-shab teri taqrib se zara pahle
diye jalati hui sham se mila hun main
ajal se pahle bhi milta raha hun par ab ke
baDe sukun baDe aaram se mila hun main
teri qaba ki mahak har taraf numayan thi
hawa-e-wadi-e-gul-fam se mila hun main
main jaanta hun makinon ki KHamushi ka sabab
makan se pahle dar-o-baam se mila hun main
'salim' nam bataya tha ghaaliban us ne
kal ek shaer-e-gum-nam se mila hun main
Ghazal
Abhi jo gardish-e-ayyam se mila hun main
Saleem Kausar