اردو हिंदी
Abhi hawas ke hazaron bahane zinda hain | Shaahi Shayari
abhi hawas ke hazaron bahane zinda hain

Ghazal

Abhi hawas ke hazaron bahane zinda hain

Asad Badayuni

;

abhi hawas ke hazaron bahane zinda hain
nai ruton mein shajar sab purane zinda hain

faza-e-mehr-o-mohabbat ki dagh-dari ko
dhuan ugalte hue kar-KHane zinda hain

mujaviran-e-tamanna to mar gae kab ke
darun-e-jism kai aastane zinda hain

jawaz koi nahin hijraton se bachne ka
hum is dayar mein kis ke bahane zinda hain

ajab tilism hai jangal ke un daraKHton ka
parinde mar bhi chuke aashiyane zinda hain

khudaiyon mein milega gada-e-ishq ka taj
sar-zamin to hawas ke zamane zinda hain