اردو हिंदी
Abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib | Shaahi Shayari
abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib

Ghazal

Abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib

Jafar Ali Hasrat

;

abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib
wahi raza hai hamari jo hai raza-e-habib

na samjhun apna kisi ko raqib rashk se main
wo mera dost hai jo howe aashna-e-habib

wo KHwah qatl kare KHwah meri jaan baKHshe
ki marg o zist pe muKHtar hai raza-e-habib

na tegh-e-yar se gardan phiraun main hargiz
ki ain-lutf samajhta hun main jafa-e-habib

patinge shama ke sadqe hon bulbulen gul par
koi kisi ke fida ho main hun fida-e-habib

bahisht ki mujhe targhib de na tu waiz
kisi ki mujh ko tamanna nahin siwae habib

hamesha mujh se wo kahta tha mar kahin 'hasrat'
hazar shukr pazirai hui dua-e-habib