abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par
abhi wo kaDhti phirti hai dil qamizon par
qayam karta hun akasr main dil ke kamre mein
ki jam na jae kahin gard us ki chizon par
yahi to log masiha hain zindagani ke
hazar rahmaten hon ishq ke marizon par
kisi anar-kali ke KHayal mein ab tak
ghulam-gardishen matam-kunan kanizon par
jala rahi hai mere baadalon ke pairahan
phuwar girti hui malmalin qamison par
ghazal kahi hai kisi be-charagh lamhe mein
shab-e-firaq ke kajal-zada azizon par
ki kis dayar mein rahna hai kis ne kitne din
musafiron ke ye likkha gaya hai wison par
wo ghaur karti rahi hai tamam din 'mansur'
mere libas ki uljhi hui krizon par
Ghazal
Abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par
Mansoor Aafaque