abhi dukhi hun bahut aur bahut udas hun main
hansun to kaise ki taswir-e-dard-o-yas hun main
qarib rah ki bhi tu mujh se dur dur raha
ye aur baat ki barson se tere pas hun main
bhaTak raha hun abhi KHar-dar sahra mein
magar mizaj-e-gulistan se ru-shanas hun main
jo tirgi mein diya ban ke raushni baKHshe
us e'timad ki halki si ek aas hun main
KHud apne hath se sita hun aur pahanta hun
is ahd-e-nau ka wo bikhra hua libas hun main
'kamal' mujh ko nai nasl yaad rakkhegi
kitab-e-zist ka ek aisa iqtibas hun main
Ghazal
Abhi dukhi hun bahut aur bahut udas hun main
Kamal Jafari