اردو हिंदी
Abhi dekhi kahan hain aapne sab KHubiyan meri | Shaahi Shayari
abhi dekhi kahan hain aapne sab KHubiyan meri

Ghazal

Abhi dekhi kahan hain aapne sab KHubiyan meri

Ghausiya Khan Sabeen

;

abhi dekhi kahan hain aap ne sab KHubiyan meri
nigahen DhunDhti hain aap ki bas KHamiyan meri

mera kirdar duniyan mein shahadat se munawwar hai
nazar aaen falak par sab ko raushan surKHiyan meri

wahan barson talak phulon ki kheti hoti rahti hai
baras jati hain jin KHitton pe ja kar badliyan meri

main har neki ko apne dushmanon mein banT deti hun
samar-awar raha karti hain is se nekiyan meri

zamana chahe jo samjhe ana ke sath zinda hun
tumhein bhi jit legi ek din ye KHubiyan meri

kisi bhi marke par ab talak haari nahin hun main
mera zewar raha hai doston KHuddariyan meri

jise tum rakh samjhe ho abhi tak aag hai us mein
kuredo mat jala degi tumhein chingariyan meri

'sabin' aksar main dastarKHawan se uTh jati hun bin khae
kisi bhuke ke kaam aa jaen shayad roTiyan meri