abhi dasht-e-karbala mein hai buland ye tarana
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
tera kaam tan ki puja mera kaam man ki sewa
mujhe justuju yaqin ki tujhe fikr-e-ab-o-dana
mere shauq-e-muztarib se hai rawan nizam-e-hasti
jo Thahar gai mohabbat to Thahar gaya zamana
wo faqih-e-ku-e-baatin hai adu-e-din-o-millat
kisi KHauf-e-duniyawi se jo tarash de fasana
tera KHar-o-KHas pe takiya mera ishq par bharosa
mujhe barq se mohabbat tujhe KHauf-e-ashiyana
mere jazb-e-dil ko 'mahir' koi kya samajh sakega
meri shairi ki had se abhi dur hai zamana
Ghazal
Abhi dasht-e-karbala mein hai buland ye tarana
Mahirul Qadri