abhi bichhDa hai wo kuchh roz to yaad aaega
naqsh raushan hai magar naqsh hai dhundlaega
ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham sa charagh
main nahin hunga to tanhai mein bujh jaega
ab mere baad koi sar bhi nahin hoga tulua
ab kisi samt se patthar bhi nahin aaega
meri qismat to yahi hai ki bhaTakna hai mujhe
raste tu mere hamrah kidhar jaega
apne zehnon mein racha lijiye is daur ka rang
koi taswir banegi to ye kaam aaega
itne din ho gae bichhDe hue us se 'azhar'
mil bhi jaega to pahchan nahin paega
Ghazal
Abhi bichhDa hai wo kuchh roz to yaad aaega
Azhar Inayati