اردو हिंदी
Abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko | Shaahi Shayari
abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko

Ghazal

Abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko

Ali Sardar Jafri

;

abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko
mere KHun ki hai zarurat teri shoKHi-e-hina ko

tujhe kis nazar se dekhe ye nigah-e-dard-agin
jo duaen de rahi hai teri chashm-e-bewafa ko

kahin rah gai ho shayad tere dil ki dhaDkanon mein
kabhi sun sake to sun le meri KHun-shuda nawa ko

koi bolta nahin hai main pukarta raha hun
kabhi but-kade mein but ko kabhi kabe mein KHuda ko