abas toDa mera dil naz sikhlane ke kaam aata
ye aaina tha us KHud-bin ko itrane ke kaam aata
jalaya mushaf-e-dil tu ne kyun barq-e-taghaful se
jo sach bolun tujhe jhuTi qasam khane ke kaam aata
na malta KHak mein us gul ke gham ka ashk agar mera
kasi bulbul ke shayad aab aur dane ke kaam aata
dil-e-sad-chaak ka shana mera TuTa tere hathon
wagarna zulf-e-dud-e-ah suljhane ke kaam aata
liye 'uzlat' ke mue sar bayaban ke babulon ne
jo bachta ye chanwar jarub virane ke kaam aata
Ghazal
Abas toDa mera dil naz sikhlane ke kaam aata
Wali Uzlat