abas hain naseha hum se za-KHud-rafton ki tadbiren
ruke hai bahr kab go mauj se hon lakh zanjiren
hamari aah se aage to patthar aab hote the
pa kya jaane wo ab kidhar gain nale ki tasiren
ye ek surat hai gar khinche wo mere yar ka naqsha
main kab manon hun yun mani likhe gar lakh taswiren
lagai aag pani mein ye kis ke aks ne pyare
ki ham-digar chali hain mauj se dariya mein shamshiren
suna hi main na gosh-e-lutf se ahwal ko mere
chhupi thin warna KHamoshi mein apni lakh taqriren
rakhe hai hosh agar tu qasr kar tul-e-imarat ka
ki is buniyaad par kab tak karega tu ye tamiren
gareban ki to 'qaem' muddaton dhajjiyen uDai hain
pa KHatir jama us din howe jab sine ko hum chiren
Ghazal
Abas hain naseha humse za-KHud-rafton ki tadbiren
Qayem Chandpuri