اردو हिंदी
Abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho | Shaahi Shayari
abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho

Ghazal

Abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya KHabar kya ho
KHuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho

ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho

jahan insan kho jata ho KHud phir us ki mahfil mein
rasai kis tarah ho daKHl kyunkar ho guzar kya ho

na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit
tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho

murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho KHubsurat ho magar kya ho

shagufe dekh kar muTThi mein zar ko muskuraate hain
ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho

raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par
KHuda se jo nahin Darta use bande ka Dar kya ho

kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho

kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta
kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho

kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki
kaha us ne bhaDak uTThe agar soz-e-jigar kya ho

kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta
kaha aankhen koi talwon se mal Dale agar kya ho

kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho

kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho

kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein
kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho

kaha main ne KHabar bhi hai ki di jaan us ne ghuT ghaT kar
kaha mar jae chupke se to phir mujh ko KHabar kya ho