abas hai duri ka us ke shikwa baghal mein apne wo dil-ruba hai
chubhi hai qalib mein jis tarah jaan use tariqe se wo chhupa hai
makan bhi hai wo makin bhi hai wo wahi mila hai wahi juda hai
usi ka jalwa har ek su hai wahi hai zahir wahi chhupa hai
gham-e-mohabbat hai us ka jis ko nahin wo gham ain hai wo rahat
KHarab jo ishq mein hai us ke nahin wo bigDa bana hua hai
na parsai namaz se hai na roza-dari hai zohd-o-taqwa
mai-e-mohabbat piye jo us ki wahi haqiqat mein parsa hai
wo ranj aaKHir ko hoga rahat wo marg-e-umr-e-dawam hogi
jo ishq-e-sadiq mein mar miTa tu to phir abas shaki-e-jafa hai
na koi dushman na dost apna na nek-o-bad se hamein talluq
jo chashm-e-wahdat se hum ne dekha na kuchh bura hai na kuchh bhala hai
jo dard-e-hijran se jaan-ba-lab hai ilaj mumkin hai us ka kyunkar
masih samjhe hain jis ko wo KHud maraz mein ulfat ki mubtala hai
jahan mein sadha hazar-ha ghar base jo the wo ujaD gae hain
na hoga viran KHana-e-dil jahan wo but aa ke bas gaya hai
jo hai talabgar us ka sadiq hua hai donon-jahan se farigh
na hur-o-ghilman ka hai wo KHwahan na wo hasinon pe shefta hai
zaban-e-insan mein kab hai qudrat kare jo izhaar-e-shan-e-wahdat
na ibtida se hai koi waqif na us ki malum intiha hai
uTha le fazl-o-karam se yarab karim hai aur rahim tu hai
jo 'barq' bar-e-azim-e-isyan se gir ke dar par tere paDa hai
Ghazal
Abas hai duri ka uske shikwa baghal mein apne wo dil-ruba hai
Shyam Sunder Lal Barq