اردو हिंदी
Ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai | Shaahi Shayari
ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai

Ghazal

Ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai

Irfan Siddiqi

;

ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai
hum wahi karte hain jo KHalq-e-KHuda karti hai

phir koi raat bujha deti hai meri aanhken
phir koi subh dariche mere wa karti hai

ek paiman-e-wafa KHak-basar hai sar-e-sham
KHema KHali hua tanhai aza karti hai

hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein
hum to sunet the ki zanjir sada karti hai

kaisi miTTi hai ki daman se lipaTti hi nahin
kaisi man hai ki jo bachchon ko juda karti hai

ab numudar ho is gard se ai naqa-sawar
kab se basti tere milne ki dua karti hai