ab ye khula ki ishq ka pindar kuchh nahin
diwar gir gai pas-e-diwar kuchh nahin
jis ne samajh liya tha mujhe aasaman par
ab jaanta hai wo mera kirdar kuchh nahin
KHud mujh ko e'timad nahin apni zat par
inkar mera kuchh nahin iqrar kuchh nahin
wo bhi samajh gaya ki hawas ka ye khel hai
ab madh-e-chashm-o-gesu-o-ruKHsar kuchh nahin
mizrab-e-gham ne aur bhi KHamosh kar diya
go khinch gaya hai saz ka har tar kuchh nahin
main bojh hun to phenk de ai kurra-e-zamin
kuchh aur tez ghum ye raftar kuchh nahin
dhundla gaya hai shisha-e-masumiyat 'KHayal'
ab infial-e-chashm-e-gunahgar kuchh nahin

Ghazal
Ab ye khula ki ishq ka pindar kuchh nahin
Mustahsin Khayal