ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge
tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya paenge
dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chahat mein
hum ne kitne dhoke khae kitne dhoke khaenge
kal ke dukh bhi kaun se baqi aaj ke dukh bhi kai din ke
jaise din pahle kaTe the ye din bhi kaT jaenge
aql pe hum ko naz bahut tha lekin ye kab socha tha
ishq ke hathon ye bhi hoga log hamein samjhaenge
aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai
tujh se chhuT kar bhi ahl-e-gham kya tujh se chhuT jaenge
hum se aabla-pa jab tanha ghabraenge sahra mein
raste sab tere hi ghar ki jaanib ko muD jaenge
Ghazal
Ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge
Ahmad Hamdani