ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jati hai
hu-ba-hu aap ki taswir nazar aati hai
KHud ko tariKH kisi waqt jo dohraati hai
mere haalat pe duniya ko hansa jati hai
yaad-e-ayyam-e-bahaaran bhi nahin wajh-e-sukun
ab to tazin-e-qafas hi mujhe bahlati hai
barq ban ban ke giri hai mere dil par akasr
wo tajalli jo sar-e-tur nazar aati hai
aaj kuchh un ki tawajjoh mein kami pata hun
zindagi maut se do-chaar hui jati hai
dil bhar aata hai mera dekh ke nam aankh koi
apne rone pe to ab mujh ko hansi aati hai
main wo ek nang-e-zamana hun azal hi se 'rais'
zindagi hai ki mere nam se sharmati hai

Ghazal
Ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jati hai
Raees Niyazi