ab yahi ranj-e-be-dili mujh ko miTae ya banae
lakh wo mehrban sahi us ki taraf bhi kaun jae
ruThe hue wajud bhi dard-e-ana se kam nahin
kyun main kisi ke naz uThaun mujh ko bhi koi kyun manae
saya-e-qurb mein milen aa wahi donon waqt phir
honT pe subh jagmagae aankh mein sham muskurae
din ko dayar-e-did mein wusat-e-lams se gurez
shab ko hisar-e-chashm mein KHud hi misl-e-KHwab aae
KHatm hain waqiat bhi zist ki wardat bhi
ab wo jhuki jhuki nazar KHud koi dastan sunae
munis-e-KHalwat-e-wafa aaj bhi hai wo dil ki jo
shama ki lau mein thartharae chand ke sath Dub jae
maut ke baad zist ki bahs mein mubtala the log
hum to 'sahar' guzar gae tohmat-e-zindagi uThae
Ghazal
Ab yahi ranj-e-be-dili mujhko miTae ya banae
Sahar Ansari