ab yahi behtar hai naqsh-e-ab hone de mujhe
yunhi ruswa KHatir-e-ahbab hone de mujhe
nind aaankhon mein parindon ki tarah utri hai aaj
ai nafas aahista chal gharqab hone de mujhe
ek TukDa abr ka phirta hai manind-e-ghazal
ai meri chashm-e-hawas sairab hone de mujhe
umr bhar mein ek kaam aisa to kar shauq-e-junun
main agar dariya hun to be-ab hone de mujhe
main bhi patthar ban ke zer-e-ab so jaun kahin
kab hua aisa ki ab girdab hone de mujhe
mehrban jangal ke sae tu hi de apni panah
KHwab aaankhon mein hain mahw-e-KHwab hone de mujhe
pyas kahti hai ki chal dariya uTha laen yahin
dard kahta hai ki ruk payab hone de mujhe
Ghazal
Ab yahi behtar hai naqsh-e-ab hone de mujhe
Siddique Mujibi