ab wo tufan hai na wo shor hawaon jaisa
dil ka aalam hai tere baad KHalaon jaisa
kash duniya mere ehsas ko wapas kar de
KHamushi ka wahi andaz sadaon jaisa
pas rah kar bhi hamesha wo bahut dur mila
us ka andaz-e-taghaful tha KHudaon jaisa
kitni shiddat se bahaaron ko tha ehsas-e-maal
phul khil kar bhi raha zard KHizaon jaisa
kya qayamat hai ki duniya use sardar kahe
jis ka andaz-e-suKHan bhi ho gadaon jaisa
phir teri yaad ke mausam ne jagae mahshar
phir mere dil mein uTha shor hawaon jaisa
barha KHwab mein pa kar mujhe pyasa 'mohsin'
us ki zulfon ne kiya raqs ghaTaon jaisa
Ghazal
Ab wo tufan hai na wo shor hawaon jaisa
Mohsin Naqvi