ab wo pahli si shiddat kahan hai
hijr mein we tamazat kahan hai
hum to Thahre sada ke gadagar
tu bata teri daulat kahan hai
dekh kar chand jalta tha jis ko
aaj wo KHubsurat kahan hai
sans KHud hi chali aa rahi hai
sans lene ki fursat kahan hai
aaina main ne dekha to dekha
sare aalam ki hairat kahan hai
ab to bas ek dil hi bacha hai
aur wo bhi salamat kahan hai
aadmi to nazar aa rahe hain
han magar aadamiyat kahan hai
DhunDne se jo mil jae 'momin'
DhunD lena mohabbat kahan hai
Ghazal
Ab wo pahli si shiddat kahan hai
abdurrahman momin