ab wo moD aaya ki har pal mo'atabar hone ko hai
dekhna manzar naya diwar dar hone ko hai
ab lahu ka rang gahra hai meri taswir mein
aisa lagta hai ki qissa muKHtasar hone ko hai
uD chali hai har taraf daman mein bhar lene ki baat
qatra qatra us ke dariya ka guhar hone ko hai
main bhi dekhun mujh ko manzar se haTa dene ke baad
ab tamasha kaun sa bar-e-digar hone ko hai
phir tarashi jaane wali hain charaghon ki lawen
sham hote hote garm aisi KHabar hone ko hai
muD ke dekhun to aqab mein kuchh nazar aata nahin
samne bhi gum nishan-e-rah-guzar hone ko hai
ab nai rahen khulengi mujh par imkanat ki
'ramz' mere tan pe zahir mera sar hone ko hai
Ghazal
Ab wo moD aaya ki har pal moatabar hone ko hai
Mohammad Ahmad Ramz