ab wo mahki hui si raat nahin
baat kya hai ki ab wo baat nahin
phir wahi jagna hai din ki tarah
raat hai aur jaise raat nahin
baat apni tumhein na yaad rahi
KHair jaane do koi baat nahin
kuchh nahin hai to yaad hai un ki
un se tark-e-talluqat nahin
phir bhi dil ko baDi umiden hain
go ba-zahir tawaqquat nahin
ishq hota hai KHud-ba-KHud paida
ishq ke kuchh lawazimat nahin
aise 'fazli' ke sher kam honge
jin mein kuchh dil ki wardat nahin
Ghazal
Ab wo mahki hui si raat nahin
Fazl Ahmad kariim Fazli