ab wo jo nahin un ki tamanna bhi bahut hai
jine ke liye shorish-e-duniya bhi bahut hai
ab sard-hawa shoala-e-jaan soz-e-junun bhi
ab garmi-e-husn-e-ruKH-e-zeba bhi bahut hai
KHush-kaamati-e-sarw ka charcha hai ghanimat
ab tazkira-e-nargis-o-lala bhi bahut hai
tum kaun se the aise saza-war-e-inayat
wo puchh rahe hain tumhein itna bhi bahut hai
ya talKHi-e-mai hi thi jawab-e-gham-e-duniya
ya zikr-e-mai-o-saghar-o-mina bhi bahut hai
ya gardish-e-dauran ko bhi KHatir mein na late
ya ab kisi ummid pe jina bhi bahut hai
Ghazal
Ab wo jo nahin unki tamanna bhi bahut hai
Sajjad Baqar Rizvi