اردو हिंदी
Ab wo galiyan wo makan yaad nahin | Shaahi Shayari
ab wo galiyan wo makan yaad nahin

Ghazal

Ab wo galiyan wo makan yaad nahin

Ahmad Mushtaq

;

ab wo galiyan wo makan yaad nahin
kaun rahta tha kahan yaad nahin

jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar
jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin

koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha wahan yaad nahin

yaad hai zina-e-pechan us ka
dar-o-diwar-e-makan yaad nahin

yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar
shor-e-awaz-e-KHizan yaad nahin