اردو हिंदी
Ab wo gali ja-e-KHatar ho gai | Shaahi Shayari
ab wo gali ja-e-KHatar ho gai

Ghazal

Ab wo gali ja-e-KHatar ho gai

Naseem Dehlvi

;

ab wo gali ja-e-KHatar ho gai
haal se logon ko KHabar ho gai

wasl ki shab kya kahun kyun kar kaTi
baat na ki thi ki sahar ho gai

dekhenge ai zabt ye dawe tere
raat judai ki agar ho gai

hazrat-e-naseh ne kahi baat jo
ham-asar-e-dard-e-jigar ho gai

main na hua ghair hue mustafiz
teri nazar thi wo jidhar ho gai

yaad kisi ki mujhe phir in dinon
josh-zan-e-dida-e-tar ho gai

kis ki ham-aghoshi ka tha azm jo
zulf teri tauq-e-kamar ho gai