ab use chhoD ke jaana bhi nahin chahte hum
aur ghar itna purana bhi nahin chahte hum
sar bhi mahfuz isi mein hai hamara lekin
kya karen sar ko jhukana bhi nahin chahte hum
apni ghairat ke liye faqa-kashi bhi manzur
teri sharton pe KHazana bhi nahin chahte hum
hath aur panw kisi ke hon kisi ka sar ho
is tarah qad ko baDhana bhi nahin chahte hum
aankhen jab di hain nazare bhi ata kar ya-rab
ek kamre mein zamana bhi nahin chahte hum
Ghazal
Ab use chhoD ke jaana bhi nahin chahte hum
Haseeb Soz