ab us ki yaad satane ko bar bar aae
wo zindagi jo tere shahr mein guzar aae
ye bebasi bhi nahin lutf-e-iKHtiyar se kam
KHuda kare na kabhi dil pe iKHtiyar aae
qadam qadam pe gulistan khile the raste mein
ajib log hain hum bhi ki su-e-dar aae
na chahchahe na surud-e-shaguftagi na mahak
kise ab aisi bahaaron pe e'tibar aae
junun ko ab ke gareban se kya milega ki hum
ba-faiz-e-mausam-e-gul pairahan utar aae
teri lagan ne zamane ki KHak chhanwai
teri talab mein tamam aarzuen haar aae
ye faKHr kam to nahin ku-e-yar mein 'nikhat'
na sharmsar gae the na sharmsar aae
Ghazal
Ab uski yaad satane ko bar bar aae
Nikhat Barelvi