ab unhen apni adaon se hijab aata hai
chashm-e-bad-dur dulhan ban ke shabab aata hai
hijr mein bhi mujhe imdad-e-ajal hai darkar
meri turbat pe na aa tujh se hijab aata hai
did aaKHir hai ulaT dijiye chehre se naqab
aaj mushtaq ke chehre pe naqab aata hai
kis taraf josh-e-karam teri nigahen uTThin
kaun mahshar mein saza-war-e-itab aata hai
maut ki nind bhi ab chain se sona malum
ki janaze pe wo ghaarat-gar-e-KHwab aata hai
dil ko is tarah Thahar jaane ki aadat to na thi
kyun ajal kya mere name ka jawab aata hai
jalwa-e-rang hai nairang-e-taqaza-e-nigah
koi majbur tamasha-e-sarab aata hai
ho gaya KHun tere hijr mein dil ka shayad
ab tasawwur bhi tera naqsh-bar-ab aata hai
milti julti hai meri umr-e-do-roza 'fani'
ji bhar aata hai agar zikr-e-habab aata hai
Ghazal
Ab unhen apni adaon se hijab aata hai
Fani Badayuni