ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya
Thahre tere ghar koi musafir to mujhe kya
virana-e-jaan ki jo faza thi so rahegi
chahke kisi gulshan mein wo tair to mujhe kya
wo shama mere ghar mein to be-nur hi Thahri
bazar mein wo jins ho nadir to mujhe kya
wo rang-fishan aankh wo taswir-numa hath
dikhlaen nae roz manazir to mujhe kya
main ne use chaha tha to chaha na gaya main
chahe mujhe ab wo meri KHatir to mujhe kya
duniya ne to jaana ki numu us mein hai meri
ab ho wo meri zat ka munkir to mujhe kya
ek KHwab tha aur bujh gaya aankhon hi mein apni
ab koi pukare mere shair to mujhe kya
Ghazal
Ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya
Obaidullah Aleem