ab tujh se phira ye dil-e-nakaam hamara
us kuche mein kam hi rahega kaam hamara
hai saKHt mere darpa-e-jaan tera gham-e-hijr
jaanan se kahe ja koi paigham hamara
jagir mein hai ghair ki wo bosa-e-lab go
qaem rahe ye mansab-e-dushnam hamara
hone nahin pate ye mere dida-e-tar KHushk
daulat se teri tar hai sada jam hamara
do din mein kisi kaam ka rahne ka nahin tu
kuchh tujh se nikal le kabhi to kaam hamara
ek roz mila aalam-e-masti mein jo hum se
tanha but-e-badmast mai-asham hamara
shamshir alam kar ke laga kahne rakhun Thor
badnam tu karta phire hai nam hamara
ayyam ke har zikr se aur fikr se farigh
ya ishq hai wird-e-sahar-o-sham hamara
hota na farebanda-e-dil kash ke 'hasrat'
aaghaz mein ye ishq-e-bad-anjam hamara
Ghazal
Ab tujhse phira ye dil-e-nakaam hamara
Hasrat Azimabadi