ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae
na-gahan shahr pe jaise koi aafat aae
maslahat ho gai mamnua shajar ki surat
lakh rokun magar us par hi tabiat aae
daKHl KHushiyon ka meri zist mein kaise ho ki jab
tera gham bhi gham-e-dauran ki badaulat aae
jis pe main chhap sakun sikka-e-KHud-muKHtari
zindagi mein koi aisi bhi to saat aae
raat bhar dhota hun taron ki nadi mein aankhen
tab kahin ja ke nazar subh ki surat aae
barf haalat ki ban jae na poshak-e-hayat
itni to teri tamanna mein hararat aae
wusat-e-lamha pe rakhta hun nigahen 'ruhi'
kyun na tahrir mein farda ki ibarat aae
Ghazal
Ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae
Roohi Kanjahi