ab to ye bhi nahin raha ehsas
dard hota hai ya nahin hota
ishq jab tak na kar chuke ruswa
aadmi kaam ka nahin hota
TuT paDta hai dafatan jo ishq
besh-tar der-pa nahin hota
wo bhi hota hai ek waqt ki jab
ma-siwa ma-siwa nahin hota
hae kya ho gaya tabiat ko
gham bhi rahat-faza nahin hota
dil hamara hai ya tumhaara hai
hum se ye faisla nahin hota
jis pe teri nazar nahin hoti
us ki jaanib KHuda nahin hota
main ki be-zar umr bhar ke liye
dil ki dam-bhar juda nahin hota
wo hamare qarib hote hain
jab hamara pata nahin hota
dil ko kya kya sukun hota hai
jab koi aasra nahin hota
ho ke ek bar samna un se
phir kabhi samna nahin hota
Ghazal
Ab to ye bhi nahin raha ehsas
Jigar Moradabadi