ab to ye bhi hone laga hai hum mein un mein baat nahin
duniya wale puchhte hain kya pahle se haalat nahin
ek agar ho ishq ki bazi to phir koi baat nahin
kaun sa aisa khel hai jis mein hum ne khai mat nahin
aankh se aansu ban ke bahen jo aise sab jazbaat nahin
dil ka zaKHm chhupa ke jina sab ke bas ki baat nahin
din to din hai tere bin ab raat ki bhi auqat nahin
tum mil jao aur sab bazi haaren bhi to mat nahin
'zahid' ki ye sari qanaat kya teri saughat nahin
thoDi pi kar ziyaada bahke aisi us ki zat nahin
Ghazal
Ab to ye bhi hone laga hai hum mein un mein baat nahin
Zahidul Haque