ab to tum bhi jawan hue ho dekhenge dil ko bachaoge tum
mil jo gaya ham-chashm koi phir aankh usi se laDaoge tum
ab jo hum tum se karte hain tum bhi kisi se karoge wahi
hum se tumhaara suluk hai jaisa waisa hi badla paoge tum
be-tabi se karoge kya kya na kai kisi ki majlis mein
aaoge tum baiThoge tum phir aaoge tum uTh jaoge tum
rasha thi zaban mein luknat panw beDi mohra denge
munh se kuchh ka kuchh niklega dil mein jo Thahraoge tum
wo to tumhaari sikh tumhin se baat mein baat nikalega
meri surat apna sa munh tak ke phir rah jaoge tum
nam ko dana do do din tak meri tarah dekhoge nahin
jab main bahut samjhaunga to thoDa sa khana khaoge tum
nai nai choTen kha kha kar jab be-kal ho ho jaoge
mujh ko hamdard apna samajh kahne ko gham ke aaoge tum
har har baat mein ro ro ke ghabra ghabra kar bologe
kaise gharib gharib se ho kar dil ki baaten sunaoge tum
mere haal pe sheron ke mazmun bahut yaad aaenge
das das bar ek ek ghazal ko mujh se phir paDhwaoge tum
dil mein tum apne mat lana jite rahe gar mir-'raza'
de dil us ka hath mein le ke jaise dil ko lagaoge tum
Ghazal
Ab to tum bhi jawan hue ho dekhenge dil ko bachaoge tum
Raza Azimabadi