ab to ruTh jaane ka waqt hi nahin milta
tujh ko aazmane ka waqt hi nahin milta
so chuke hain jo arman yas ke shabistan mein
ab unhen jagane ka waqt hi nahin milta
kis tarah balaen ab tujh ko did ki KHatir
rasta sajaane ka waqt hi nahin milta
aarzu ki jo duniya kho gai hai rahon mein
us ko DhunD lane ka waqt hi nahin milta
yun taras gain aankhen KHud ko dekh lene ko
aaina dikhane ka waqt hi nahin milta
waqt ke taqaze hain mere KHushk honTon ko
git gungunane ka waqt hi nahin milta
un tumhaari yaadon ki raushni ghanimat hai
ab diye jalane ka waqt hi nahin milta

Ghazal
Ab to ruTh jaane ka waqt hi nahin milta
Naqqash Abidi