ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae
jis mein insan ko insan banaya jae
jis ki KHushbu se mahak jae paDosi ka bhi ghar
phul is qism ka har samt khilaya jae
aag bahti hai yahan ganga mein jhelam mein bhi
koi batlae kahan ja ke nahaya jae
pyar ka KHun hua kyun ye samajhne ke liye
har andhere ko ujale mein bulaya jae
mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuchh aisa
main rahun bhuka to tujh se bhi na khaya jae
jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise
mera aansu teri palkon se uThaya jae
git unman hai ghazal chup hai rubai hai dukhi
aise mahaul mein 'niraj' ko bulaya jae
Ghazal
Ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jae
Gopaldas Neeraj