ab to lafzon ke taqazon ka bharosa na raha
ek siwa tarz-e-KHamoshi ke asasa na raha
aaj nadida sitaron ne qabaen baKHshin
aasman tera badan ab to barahna na raha
kitne sadiyon ki thakan tu ne sameTi hai zamin
phir bhi chehra tera is haal mein utra na raha
jism-e-ashufta ne sailab sambhaale kitne
haal kyun aisa hua hath mein qatra na raha
ai shab-e-tira-badan ye to pareshani hai
teri shah-rag ka lahu aankh mein zinda na raha
muntashir ho gae aiwan-e-tafakkur 'amir'
yani arshani-e-imkan ka zina na raha
Ghazal
Ab to lafzon ke taqazon ka bharosa na raha
Amir Nazar