اردو हिंदी
Ab to kuchh aur bhi andhera hai | Shaahi Shayari
ab to kuchh aur bhi andhera hai

Ghazal

Ab to kuchh aur bhi andhera hai

Hafeez Jalandhari

;

ab to kuchh aur bhi andhera hai
ye meri raat ka sawera hai

rahzanon se to bhag nikla tha
ab mujhe rahbaron ne ghera hai

aage aage chalo tabar walo
abhi jangal bahut ghanera hai

qafila kis ki pairwi mein chale
kaun sab se baDa luTera hai

sar pe rahi ke sarbarahi ne
kya safai ka hath phera hai

surma-alud KHushk aansuon ne
nur-e-jaan KHak par bikhera hai

rakh rakh ustuKHwan safed safed
yahi manzil yahi basera hai

ai meri jaan apne ji ke siwa
kaun tera hai kaun mera hai

so raho ab 'hafiz' ji tum bhi
ye nai zindagi ka Dera hai