ab to jis roz se ruThi hai mohabbat us ki
baDh gai aur bhi pahle se zarurat us ki
lauh-e-har-zaKHm pe tahrir hai us ka mazmun
naqsh hai har waraq-e-dil pe ibarat us ki
jism to mera tha dil us ka tha jaan us ki thi
meri jagir thi chalti thi hukumat us ki
shor-e-fariyaad sunaen to sunaen kis ko
hashr us ka hai KHuda us ka qayamat us ki
dekh kar 'azmi' us ko to baDa ranj hua
waqt ne kaisi badal Dali hai surat us ki
Ghazal
Ab to jis roz se ruThi hai mohabbat uski
Sheesh Mohammad Ismail Azmi