ab to har ek adakar se Dar lagta hai
mujh ko dushman se nahin yar se Dar lagta hai
kaise dushman ke muqabil wo Thahar paega
jis ko TuTi hui talwar se Dar lagta hai
wo jo pazeb ki jhankar ka shaidai ho
us ko talwar ki jhankar se Dar lagta hai
mujh ko baalon ki safedi ne KHabar-dar kiya
zindagi ab teri raftar se Dar lagta hai
kar den maslub unhen lakh zamane wale
haq-paraston ko kahan dar se Dar lagta hai
wo kisi tarah bhi tairak nahin ho sakta
dur se hi jise manjdhaar se Dar lagta hai
mere aangan mein hai wahshat ka basera 'afzal'
mujh ko ghar ke dar-o-diwar se Dar lagta hai
Ghazal
Ab to har ek adakar se Dar lagta hai
Afzal Allahabadi