ab to dil o dimagh mein koi KHayal bhi nahin
apna junun bhi nahin us ka jamal bhi nahin
us se bichhaD ke zist mein ye hi gila raha mujhe
us se juda bhi hun magar jina muhaal bhi nahin
ishq ki jang mein miyan ye hi usul hai baja
hath mein us ke tegh ho aap ke Dhaal bhi nahin
mujh ko kahin mili nahin koi bhi rah-e-pur-sukun
samt-e-junub bhi nahin samt-e-shumal bhi nahin
mere badan pe tha kabhi us ke badan ka pairahan
aaj bala ka hijr hai jism pe shaal bhi nahin
ye bhi kamal hi to hai qabil-e-dad sahiban
aaj kalam-e-'jashn' mein koi kamal bhi nahin
Ghazal
Ab to dil o dimagh mein koi KHayal bhi nahin
Sunil Kumar Jashn