ab to aate hain sabhi dil ko dukhane wale
jaane kis rah gae naz uThane wale
ishq mein pahle to bimar bana dete hain
phir palaTte hi nahin rog lagane wale
kya guzarti hai kisi par ye kahan sochte hain
kitne be-dard hain ye ruTh ke jaane wale
karb un ka ki jo foot-path pe karte hain basar
kya samajh paenge ye raj-gharane wale
lakh tawiz bane lakh duaen bhi huin
magar aae hi nahin jo na the aane wale
tu bhi milta hai to matlab se hi ab milta hai
lag gae tujh ko bhi sab rog zamane wale
Ghazal
Ab to aate hain sabhi dil ko dukhane wale
Zia Zameer